KARNATAKA: GULBARGA ZILE KE JEWARGI TALUKE MEIN TOWN MUNCIPAL COUNCIL KE CHAIRMAN AUR VICE CHAIRMAN KE INTEQAAB KE DAURAAN HUI BE QAID GAIYOUN KO LEKAR BJP LEADERS NE GULBARGA ADDITIONAL DSP MAHESH NAGANNANAWAR PAR ILZAAM LAGAYA KE INHONE KHUD BJP KE DO COUNCILOR KO AGHWA KARWAYA AISA KARNE SE JEWARGI MUNCIPAL COUNCIL KE CHAIRMAN AUR VICE CHAIRMAN KI SEAT JANATA DAL SECULAR NE JEET LI. IS MAMLE KO LEKAR JEWARGI PAHUNCHE GULBARGA GRAMEEN MLA BASWARAJ MATTIMOOD GULBARGA ZILA BJP SADAR SHIVRAJ PATIL RADDEWADGI KO ADDITIONAL SP MAHESH MEGHANNANAWAR NE DHAKKE MAAR KAR DOOR KIYA IS BAAT KO LEKAR GULBARGA CITY BJP PRESIDENT CHANDU PATIL MLC SASHIL G NAMOSHI AUR DOOSRE BJP WORKER'S NE AHTEJAJ KARTE HUE GULBARGA SP ADIRU SRINIVASALU KO MEMORUNDU PESH KIYA KE ADDITIONAL DSP MAHESH MEGHANNANAWAR KO UNKE JARAHAANA RAWWAIYE KO LEKAR UNPAR KARYAWAI KARNE KI BAAT KAHI. EK ADDITIONAL SP JAB EK MLA KO IS TARHA SE DHAKKA MARTA HAI AUR UNKI IZZAT NAHIN KARTA TO AAM AADMI KA KYA HOGA A SAWAAL AAM AADMI KE DIL MEIN PAIDA HO RAHA HAI. AAYIYE DEKHTE HAIN TAFSEELI REPORT. ATRAAF TV URDU NEWS...