Main To Khud Unkay Dar Ka Gada Hoon - heart touching naat Mere aanso bahut qeemti hai

2024-08-30 53

Main Tu Khud Unke Dar Ka Gada Hoon by Zara Rashid

Zara Rasheed is a heart touching naat reciter of Pakistan who can literally make you cry. Especially this video naat performance has made many people cry many times. Many best Islamic naats are on her credit.

A must-watch naat video by the top female naat khawan of Pakistan. Watch it to believe it. Zara Rasheed: Mein Tu Khud Un Kay Dar Ka Gada Hoon

Complete Naat Transcript:

میں تو خود اُنکے در کا گدا ہوں
Me To Khud Unke Dar Ka Gada Hun

اپنے آقا کو میں نذر کیا دوں
Apne Aaqa Ko Main Nazr Kya Doon

اب تو آنکھوں میں بھی کچھ نہیں ہے
Ab To Aankhon Main Bhi Kuchh Nahin Hai

ورنہ قدموں میں آنکھیں بچھا دوں
Varna Qadmon Main Aankhein Bichha Doon

آنے والی ہے انکی سواری
Aane Waali Hai Unki Sawari

پھول نعتوں کے گھر گھر سجا دوں
Phool Naaton Ke Ghar Ghar Saja Doon

میرے گھر میں اندھیرا بہت ہے
Mere Ghar Main Andhera Bohot Hai

اپنی پلکوں پہ شمعیں جلا دوں
Apni Palkon Pe Shamme Jala Doon

روضہِؑ پاک پیشِ نظر ہے
Rauza-e-Paak Pesh-E-Nazar Hai

سامنے میرے آقا ﷺ کا گھر ہے
Saamne Mere Aaqa Ka Ghar Hai

مجھکو کیاکچھ نظرآ رہا ہے
Mujhko Kya Kuchh Nazar Aa Raha Hai

تم کولفظوں میں کیسے بتا دوں
Tumko Lafzon Main Kaise Bata Doon

میرے آنسو بہت قیمتی ہیں
Mere Aansu Bohot Qeemti Hain

ان سے وابستہ ہیں اُنکی یادیں
Inse Waabasta Hain Unki Yaadein

اِنکی منزل ہے خاکِ مدینہ
Inki Manzil Hai Khak-E-Madina

یہ گوہر یونہی کیسے لُٹا دوں
Ye Gohar Yun Hi Kaise Luta Doon

بے نگاہی پہ میری نہ جائیں
Bay Nigahi Pe Meri Na Jaen

دیدہ ور میرے نزدیک آئیں
Deedawar Meray Nazdeek Aen

میں یہیں سے مدینہ دکھا دوں
Main Yahin Se Madina Dikha Doon

دیکھنے کا قرینہ سِکھا دوں
Dekhnay Ka Qarina Sikha Doon

میں فقط آپ کو جانتی ہوں
Main Faqat Aap Ko Jaanta Hoon

اور اُسی در کو پہچانتی ہوں
Aur Usi Dar Ko Pehchanta Hoon

اس اندھیرے میں کس کو پکاروں
Is Andhere Main Kisko Pukaroon

آپ فرمائیں کس کو صدا دوں
Aap Farma’aein Kisko Sada Doon

قافلے جا رہے ہیں مدینے
Qaafilay Jaa Rahe Hain Madinay

اور حسرت سے میں تک رہی ہوں
Aur hasrat se Main Tak rahi Hoon

یا لپٹ جاوٗں قدموں سے اُنکے
Ya Lipat Jaoon Qadmon Se Unke

یا قضاؑ کومیں اپنی صدا دوں
Ya Qaza Ko Main Apni Sada Doon

میری بخشش کا ساماں یہی ہے
Meri Bakhshish Ka Saamaan Yehi Hai

اور دل کا بھی ارماں یہی ہے
Aur Dil Ka Bhi Armaan Yehi Hai

اک دن اُنکی خدمت میں جا کر
Ek Din Unki Khidmat Main Jaakar

اُنکی نعتیں اُنھیں کو سنا دوں
Unki Naatein Unhi Ko Suna Doon

مجھ کو اقبال نسبت ہے اُن سے
Mujhko Iqbal Nisbat Hai Unse

جِنکا ہر لفظ جانِ سُخن ہے
Jinka Har Lafz Jaan-E-Sukhan Hai

میں جہاں ںعت اپنی سنا دوں
Main Jahaan Naat Apni Suna Doon

ساری محفل کی محفل جگا دوں
Saari Mehfil Ki Mehfil Jaga Doon