Sandese Aate Hain
Humein Tadpaate Hain
To Chitthi Aati Hai
To Poochh Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ki Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai
Kisi Dilwaali Ne Kisi Matwaali Ne
Humein Khat Likkha Hai
Ki Humse Poochha Hai
Kisi Ki Saason Ne Kisi Ki Dhadkan Ne
Kisi Ki Choodi Ne Kisi Ke Kangan Ne
Kisi Ke Kajre Ne Kisi Ke Gajre Ne
Mahekti Subahon Ne Machalti Shaamon Ne
Akeli Raaton Ne Adhoori Baaton Ne
Tarasti Baahon Ne
Aur Pooccha Hai Tarsi Nighahon Ne
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ki Tum Bin Ye Dil Soona Soona Hai
Ay Guzarne Waali Hava Bata
Mera Itna Kaam Karegi Kya
Mere Gaanv Ja Mere Doston Mo Salaam De
Meri Gaanv Mein Hai Jo Vo Gali
Jahaan Rehti Hai Meri Dilruba
Usay Mere Pyaar Ka Jaam De
Usay Mere Pyaar Ka Jaam De
Vahin Thodi Door Hai Ghar Mera
Mera Ghar Mein Hai Meri Boodhi Maa
Mere Maa Ke Pairon Ko Chhooke
Usay Uske Beta Ka Naam De
Ay Guzarne Waali Hava Zara
Mere Doston Meri Dilruba
Meri Maa Ko Mera Paiyam De
Unhe Jaake Ty Ye Paigam De
Main Vaapas Aaoonga
Main Vaapas Aaoonga
Phir Apne Gaaon Mein
Usiki Chaaon Mein
Ki Maa Ke Aanchal Se
Gaanv Ke Peepal Se
Kisike Kaajal Se
Kiya Jo Vaada Tha Vo Nibhaoonga