Teri mitti-Aye Meri Zameen Afsos Nahi Jo Tere Liye Sau Dard Sahe-Female Version-Parneeti Chopra

2020-06-13 350

Teri mitti-Aye Meri Zameen Afsos Nahi Jo Tere Liye Sau Dard Sahe-Female Version-Parneeti Chopra.
Lyrics:

Talwaaron pe sar waar diye
Angaaron me jism jalaya hai..
Tab jaa ke kahin humne sar pe
Ye Kesari rang sajaya hai..!!!

Ae meri zameen, afsos nahin, jo tere liye sau dard sahe..
Mahfooz rahe, teri aan sadaa, chahe jaan meri ye rahe na rahe..

Ae meri zameen, mahboob meri, meri nas-nas mein tera Ishq bahe
Pheeka na pade kabhi rang tera, jismon se nikal ke khoon kahe..

Teri mitti me mil jaawaan
Gul ban ke main khil jaawaan
Itni si, hai dil ki… aarzu..

Teri nadiyon mein bah jaawaan..
Teri faslon me lahraawaan..
Itni si, hai dil ki… aarzu….!!!

Sarson se bhare, wo khet mere, jahan jhoom ke bhangdaa paa na saka..
Aaabad rahe, wo gaanw mera, jahan laut ke wapas jaa na saka..

O watna ve, mere watna ve, tera mera pyaar niralaa thaa..
Qurbaan hua, teri asmat pe, main kitna naseebon wala thaa..

Teri mitti mein mil jaawaan
Gul ban ke main khil jaawaan
Itni si, hai dil ki… aarzu..

Teri nadiyon mein bah jaawaan..
Teri Kahiton me lahraawaan..
Itni si, hai dil ki… aarzu….!!!

O heer meri, tu hasti rahe, teri aankh ghadi bhar nam na ho
Main marta tha, jis mukhde pe, kabhi uska ujala kam na ho..
O maayi meri, kya fikra tujhe, kyun aankh se dariya bahta hai..
Tu kahti thee, tera chaand hoon main, aur chaand humesha rahta hai..

Teri mitti me mil jaawaan
Gul ban ke main khil jaawaan
Itni si, hai dil ki… aarzu..

Teri nadiyon me bah jaawaan..
Teri faslon me lahraawaan..
Itni si, hai dil ki… aarzu….!!!