BISMILLAH...
Nohay 2020 - 13 Jamadi Ul Awwal Noha - Noha Shahadat Bibi Fatima Zahra 2020 - SADA E RASOOL - Joan Rizvi New Noha 2020 - Ayam e Fatmiyah Noha 1441 - Bibi Fatima Zahra Shahadat Noha 2020 -
Video Details!
Noha Khuwa - Joan Rizvi
Noha Title - SADA E RASOOL - Rasool Kehte Hain Ummat Se Ab Sila De Do
Poet - Zeeshan Abidi
Composition - Own Rizvi
Translation - Ali Abbas
Chorus - Own Rizvi and Team
Audio - ODS Karachi
Video - The Focus Studio
Islamic Date | 13 Jamadi Ul Awwal Shahadat Bibi Fatima Zahra (Sa)
Video Optimization: Samar Jafri
-----------------------------------
On the Day of 13 Jamadi Ul Awwal Martyrdom Of Hazrat Bibi Fatima Zahra Bint e Muhammad (saww) , Many condolences to Prophet Muhammad (saww) and Imam Ali (as) and especially to Imam e Zamana (AJF).
● NOHA - L Y R I C S ●
Aey Musalmanoo!
Aey Madinay waloon!
Rasoolص kehtay hain ummat sa ab sila dado
Lehad ko Fatima Zehra س ki aik dia dado
Humaray chahnay walay yahan pa atay hain
Tadaptay rehtay hain Zahra say mil na patay hain
Humaray chahanay waloon ko rasta dado
Rasool kehtay hain ummat sa ab sila dado
Woh pursa danay ko atay hain mere beti ko
Kyu un k ronay pa pa -bandiaan lagatay hain
Jahan woh ashk bahalein koi jaga dado
Rasoolص kehtay hain ummat sa ab sila dado
Woh mere bat ko samjhay ga jiski beti ho
Main dekhon dhoop main kis tarhan apni beti ko
Bachalo dhoop sa sayay ko aik rida dado
Rasoolص kehtay hain ummat sa ab sila dado
Hussainع mujhsa yeh kehta hai aey mere nana
Main dekh dekh k rota hon haal madar ka
Mujha baqaiya mere ma'an ko karbala dado
Rasoolص kehtay hain ummat sa ab sila dado
Zaeef hogaye darbar sa jo ghar phanuchi
Kamar ko thaam k fizzaس say Fatimaس boli
Nahi hai chalnay ki himmat mujha asa dado
Rasoolص kehtay hain ummat sa ab sila dado
Gira tha jalta hua dar batoolس pa jis din
Pukarti thi k na mar jayay mera Mohsinع
Yeh dar hatao Aliع ko koi sada dado
Rasoolص kehtay hain ummat sa ab sila dado
Main janta hon k khatra hai qabar e Zainabس ko
Woh chahtay hain k yeh bhi Batoolس jaise ho
Mere Khuda mere Mehdiع ko ab raza dado
Rasoolص kehtay hain ummat sa ab sila dado
Sada Rasool ki Zeeshan o Joan sa sunker
Tumharay ankhoon main kuch ashk aagayay hon agar
Lehad Batoolس ki dekhain humain dua dado
Rasoolص kehtay hain ummat sa ab sila dado
- Z e e s h a n - A b i d i -
__________________________
Copyright strictly prohibited ⓒ.
Copyright prohibited ⓒ - JoanRizvi
Subscribe our channel
https://www.youtube.com/channel/UCldl9uAUixiQvtnEtlRKfjw
Like our facebook page
https://www.facebook.com/Azadari-PK-Official-3237535615
Follow dailymotion
https://www.dailymotion.com/azdaripkofficial