Luv Kush Singing Ramayan in Ayodhya - Hum Van Ke Vasi Nagar Jagane Aaye

2018-01-13 736

Lyrics-\r
Hum Van Ke Vasi Nagar Jagane Aaye\r
Hum Van Ke Vasi Nagar Jagane Aaye\r
Sita ko uska khoya Mata ko uska khoya\r
samman dilane aaye\r
Hum Van Ke Vasi Nagar Jagane Aaye\r
Hum Van Ke Vasi Nagar Jagane Aaye\r
Janak nandini ram priya wo raghukul ki maharani\r
tumhre apvado k karan chhod gayi rajdhani\r
mahasati bhagvati Siya tumnse na gayi pahchani\r
tumne mamta ki aankhon mein bhar diya peer ka pani\r
bhar diya peer ka pani\r
us dukhiya k aansoon lekar\r
us dukhiya k aansoon lekaraag lagane aaye\r
hum van k vaasi nagar jagane aaye\r
hum van k vaasi nagar jagane aaye\r
van van dole kuchh na bole Sita janak dulari\r
phool se komal man par sahti dukh parvat se bhari\r
dhram nagar ke vasi kaise ho gaye atyachari\r
raj dharm k karan lut gayi ek sati sannari\r
sita ko hi nahi ram ko bhio darun dukh dine\r
niradhar baaton par tumne hridyo k sukh chhene\r
pativrat dharam nibhane mein sita ka nahi udaharan\r
kyon nirdosh ko dosh diya vanvaas hua kis karan\r
vanvaas hua kis karan\r
nyaysheel raja se uska nyaysheel raja se uska\r
nyaay karane aaye\r
hum van k vaasi nagar jagane aaye\r
hum van k vaasi nagar jagane aaye\r
sita ko uska khoya mata ko uska khoya\r
samman dilane aaye\r
hai janak nandini kis dasha =mein kya kabhi ye bhi socha kisi ne\r
uspe aarop mithya lagakar saath sita ka chhoda sabhi ne\r
siya ka ghar chhut gaya pati ka sukh lut gaya\r
aaj van van phire sita mai.haay tumko daya bhi na aayi\r
hey avadhvasio andhvishvasio hay tumko daya bhi naa aayi\r
aag sita k sukh mein lagayi\r
hay tumko daya bhi naa aayi\r
jisne lankesh ko tuchh jana jisne thukara di sone ki lanka\r
jiski har saans raghuvar ko arpan aisi sita pe ki tumne shanka\r
tum wo agyan ho aisi santaan ho jisne maata mein dhundi burai\r
aag sita k sukh mein lagayi\r
hay tumko daya bhi naa aayi..