Maa Ke Haath Ki Cigarette - Advertising Qtiyapa

2017-04-11 1

Na Du ke hain ye Launde, Na hi IIT clear kar paaye hain
Lovely University mein jo khula hai dabba
Bas ussi mein moo maarne aaye hain

Unhi galiyon mein jahan Sharma ki manjhali ignore karti thi
Maa aaj bhi Hero sa feel karati hai

Itna khayal rakhne wali meri Jhujhaaru Maa
Apne laadle ko Bazaaru CIgarette phoonkne degi kya

Kuch Khurafaat uske dimaag mein aayi
Aur phir usne kadi dhoop mein Tambaaku Sukhayi

Kaagaz ke unn tukdo ke liye chand paise bachakar
Chali aayi sarsaraati Purchooniya ko choona lagakar

Maa mere dil ki har ek baat jaanti hai
Aur aajkal toh wo meri talab bhi pehchaanti hai

Hosh udd gaye jab agency walo ne kaha
Nasha Maa ke haath ka hai
Bik hi jayega

Kaash mujhe bhi mil jata ek mamtamayi kash
Toh suroor aa jata

Toh nahi chahiye koi superstar hume
Bechne humara brand, Humari cigaretto ke liye kaafi hai
Meri non rhyming shayariyan aur Maa wali nostalgic ads.

Bazaaru Cigarette se feyfadey na jalao
Maa ke haath se bani, piyo aur Pilao

Free Traffic Exchange