Hazrat Ali R.A ki Shahdat ka Waqia - The Martyrdom Story of Hazrat Ali Razi Alla

2017-03-19 30

Introduction
Hazrat Ali A.S Rasool Pak S.A.W ka Damad or chacha zad bhae the ap ki bidaish khana kaba ma hue ap pehle imam hain Ap behad bahadur or behtreen ilmohikmat rakhna aley insan the Ap na khaibar fatah kia or beshmar jangon ma apne juraat or bahadri ka loha manwaya ap ko Shere khuda ka laqab dia giya ap ki elm is qadar wasee the ka ap na Salooni Salooni keh kar logo ko mukhatib kia ka ap Hassnain kriman ka walid mohtaram the

Hazrat Ali A.S ki Shahadat Ka Waqiya
Jange nehrwan ki larai ka bad Hazrat Ali A.S ka irada sham par hamla karne ka tha ap na tiyari shr kar di thi lakin kharijiyon ka irada tha ka ap ko shaheed kar diya jaye chanacha is kam kaliye 3 admi mqarar hoye kofa ma abdulrehmaan ibne muljam ap par hamla karna ka liye betha tha jab ap fajar ki namaz parh rahe the to is badbakht na ap par peeche sa talwar ki zarab lagai ap ka sir mbarak sa khoon behne laga ap na farmaya Rabe Kaba ki kasam ma kamyaab ho giya ap ko shadeed zakham aya ibe muljam na 3 din ki zehar aloda talwar sa ap par hamla kia ibne mljam ko giraftar kar liya giya ap na apne farzand hassan or hussain ko bulaya or in ko kuch nasihaten ki or apna qatil ka bare ma farmaya ka ise khana khilao or pani pilao or achi tarha rakho agar ma is zakham sa mar jaon to isa qatal karna sharyat ka yahe hukam ha is ka naak or kaan wagera na katna or agar ma bach jaon to meri marzi ka is sa badla lon ya isko maaf kar don ibe mljam ki talwar zehar alood the ap is zakham sa shaheed ho gaye ap 21 ramzaan ko shaheed hoye Hazrat Ali A.S ko apnekhilafat ka zamana ma sakoon ka aik sans bhe miyasar na tha phir bhe mlki intizamat ka liye nho nakoi kasar utha na rakhe mezaj ma had darja sadgi thi Allah ka khoof bepana tha faqeerana zindagi basra ki governaron or afsaron ki sakht nigrani kia karte the kisi odhedar ka khilaf shikayat milte to is ka khilaf karwai karta ap ko adlo insam ka behad khiyal tha har aik ka liye ap ka darwaza khla rehta bina roktok har koi ap ka pas asakta tha ap apni riaya ka behad khiyal rakhte the n ki behtari ka liye jo kch hota wo ap kia karte the ap bazaron ma gasht kia karte the baitlmaal ma jo rakam jama hoa karte the wo khle dil ka sath gareebon yatemmon or zaroratmandon ma taqseem kar diya karte the apna haq sa ziada aik paisa bhe baitulmal sa lana haram samajhte the mulk ki hifaszat ka liye choti bari foji chaoniyan bnwaye or kaye mazboot qilay bnae daryae frat pa aik pul bnaya bazjagahon par masjid bhe tameer karwaye umer bhar kisi na kisi srat deen ki khidmat karter rahe kafiron ka khilaf tamam bare laraiyom ma Rasool Allah S.A.W ka sath rahe har larai ma bepanha bahaduri sa lare yaman ka hazaron logo ko apne amal sa musalman bnaya un ko aik bar itla mile ka kuch log un ko mabood maante han ap na n logo ko pakra or sakht saza di albata jin logo na toba kar li n ko maaf kar diya ap na tamam umer mamooli zindagi basar ki ap aik sada sa makaan ma rehte the darwaza par kabhe darbaan nae lagaya shanoshokat sa nafrat thi kapron ma paiwand lage hote apna wazifa or doosri amdani logo ma kheerat kar date aik dim apne mlazim qambar ko apna sath la gaye apne liye mamooli labaas kharida or us ka liye qeemti labas kharida qambar na kaha ka mere liye ase kapre ki kia zarorat the ap na farmaya ka bhae tum jawan ho tmhare liye acha labas hona chahye mera kia ha ma to boorah hon eid sa chand din pehle aik shaks na ap ka kaproon ma paiwand dakha to kaha ka ameerlmomineen ap naya jora kiyun nae karid late ap na farmaya ka mujhe sharam ate ha ka ma naye kapre pehnoon or koofe ma hazaron logon na prane kapre pehne han