Hazrat Yunus (A.S) KA MACHLI KA PAT MA JANE KA WAQIYA
Hazrat Younas (A.s) Hazrat ibraheem (A.s) ki nasal ma sa tha Hazrat Younas (A.s) ka walid ka nam "Matah" tha. Hazrat Younas (A.s) ko Allah na "Nenhwa " jise karb ala bhe kehte han us basti ka logo ki hadhayat ka liye bheeja is basti ka logo ki tadad aik lakh sa ziada the or ya sab ka sab kufar ma mubtala the Hazrat Younas (A.s) na un logo ko sara sal dawat deen di lakin wo apne kufar par he date rahe phir un logo na Hazrat Younas (A.s) par zulmositam karna shuru kar dia akhir unho na apne qoum ka logo sa Azabeilahi ka nazool ka kaha ka aik din tum par azab ajaye ga or khud guse ki halat ma us basti sa nikal gaye jab ka Allah na unhhe azabeilahi ka bare ma btane ka hukum to diya rha lakin basti sa nikalne ka hukum nae dia tha Hazrat Younas (A.s) basti sa nikal kar samandar ki taraf aye or aik kashti ma beth gaye jis ma bohat sa logo ka saman bhe mojood tha or log is kashti ma sawar bhe achanak samandar ma tughyani ane lage or youn laga ka kashti pani ma doob jaye gi Hazrat Younas (A.s) na logo ko apna saman pani ma phenkne ka kaha logo na saman pani ma phenk dia jis par kashti kuch sanbhal gaye lakin phir be wo pure tarah sanbhal nae pa rahe the log kehne lage ka kise na kise ko samandar ma girana pare ga take kashti mazeed halki hijaye warna ya doob jaye gi sab log qura dalo or jis jis ka nam qura ma ajaye us ko sandar ma phenk do or ya amal us waqat tak karte raho jab tak kashti sanbhal na jaye qura nikala giya to sab sa pehle Hazrat Younas (A.s) ka naam aya sab kehne lage ka in ka sar par sadon ka nishan ha in ko na phenko chalo pir ura dalte han teen martba qura dala giya or har bar Hazrat Younas (A.s) ka he naam aya akhirkar logo na Hazrat Younas (A.s) ko pakar kar samandar ma phenk dia phir unhe aik bohat bare machli na nigal lia Allah na machli ko hukum dika ka in ko khana mat or in ka ism ko koe kharash na ane paye ab Hazrat Younas (A.s) machli ka pait ma the ap na machli ka pat ma sa Allah ko pukara or ayatekarima ka wird karna lage ya dua duae mustajab ha or har muslman ko mushkil ma is dua ko parhna chahye Allah na ise dua ki waja sa ap ko machli ka pat sa bahar nikala aik mudat machli ka pat ma guzarna ka bad Allah na ap ki dua qabool farmaye wo machli sahil par aye or ap ko bahar nikala or wapis pani ma chale gaye