Aye Naye Saal Bata Tujh Mein with Lyrics (Faiz Ahmad Faiz) - Urdu Poetry by RJ Imran Sherazi

2017-01-01 20

Aye Naye Saal bata tujh mein naya pan kya hai
har taraf khalaq ne kiyon shor macha rakha hai

roshni din ki wohi taaron bhari raat wohi
aaj hum ko nazar aati hai har aik baat wohi

aasmaan badla hai afsos na badli hai zameen
aik hindsay ka badalna koi jiddat to nahin

aglay barson ki tarah hon ge qareenay tere
kissay maloom nahin baara maheenay tere

janwari farwari aor march mein paray gi sardi
aor aprail may aor june mein ho gi garmi

tera man dehar mein kuch khoye ga kuch paye ga
apni mayaad basar kar ke chala jaye ga

tu naya hai to dikha subha nayi shaam nayi
warna in aankhon ne dekhay hein naye saal kayi

be sabab log detay hein kiyon mubarak badein
kya sabhi bhool gaye hein waqt ki kari yaadein

teri aamad se ghatti hai umar jahan se sab ki
Faiz ne likhi hai yeh nazam niralay dhab ki

Poet: Faiz Ahmad Faiz
Voice: Imran Sherazi