Dunya Ka Sard Tareen Shehar Barfeeli Fiza Mein Saans Leti Zindagi

2017-01-01 31

Kehte hain ke insaan ne duniya mein un maqamat par rahaish ikhtiyar ki jahan usay koi nah koi sahoolat nazar aayi us ne junglon mein, pahoron mein aur daryaon ke kinare rehna pasand kiya jahan se usay khoraak bhi millti thi aur pani bhi aur is ke liye aik maqam se dosray maqam tak jana bhi aasaan tha us ne mausam ke hawalay se bhi apne liye aisay ilaqay pasand kiye jahan ki aabb o hawa motadil thi. Is ke bawajood baaz logon ke hissay mein sard ilaqay aye aur baaz ke hissay mein garam.