Kangan with Lyrics (Wasi Shah) - Urdu Poetry by RJ Imran Sherazi

2016-12-16 30

Kaash mein tere haseen haath ka kangan hota
tu baray pyar say, chao say, baray maan ke saath

apni nazuk see kalai mein charhati mujh ko
aur betaabi say fursat ke khazaan lamhon main

tu kisi soch main doobi jo ghumati mujh ko
main tere haath ki khushbu say mehak sa jata

jab kabhi mood main aa kar mujhe chooma karti
tere honton ki main hiddat say dehak sa jata

raat ko jab bhi tu neend ke safar pe jaati
marmareen hath ka eik takiya sa banaya karti

mein tere kaan say lag kar kai baatein karta
teri zulfon ko tere gaal ko cherha karta

mujh ko betaab sa rakhta teri chaahat ka nasha
Dil tere qurb ki khawaish se na phir bhi bharta

main teri rooh ke gulshan main mehakta rehta
main tere jism ke aangan main khanakta rehta

kuch nahin tu yahi be naam sa bandhan hota
kaash main tere haseen haath ka kangan hota

Poet: Wasi Shah
Voice: Imran Sherazi