Dar-e-Nabi Par - Naat by a Little Boy with devotion
Dar-e-Nabi par para rahun ga
Pare hi rehne se kaam ho ga
Kabhi to kismat khule gi meri
Kabhi to mera sallam ho ga
Khilaaf e mehboob kuch hua hai
Na koi aashiq se kaam hoga
Khuda bhi hoga udhar hi aey dil
Jidhar wo aali makaam hoga
Kabhi to kismet khule gi meri
Kabhi to mera sallam ho ga
Kiye hi jaoun ga arz mutlab
Mile ga jab tak na dil ka mutlab
Na sham e mutlab ki subha hogi
Na ye fasana tamaam hoga
Kabhi to kismet khule gi meri
Kabhi to mera sallam ho ga
Dar-e-Nabi par para rahun ga
Pare hi rehne se kaam ho ga
Jo dil se hai maayil e paiyambar
Ye iski pehchaan hai mukarrar
Ke har dam iss be-nawa ke lab par
Durood hoga, sallam ho ga
Kabhi to kismet khule gi meri
Kabhi to mera sallam ho ga
Isi tawakka pe jee raha hun
Yehi tamanna jila rahi hai
Nigaah-e-lutfo karam na ho gi
To mujh ko jeena haram hoga
Dar-e-Nabi par para rahun ga
Pare hi rehne se kaam ho ga
Kabhi to kismet khule gi meri
Kabhi to mera sallam hoga
PLEASE LISTEN AND SHARE TO FRIENDS, DONOT FORGET TO LEAVE COMMENTS