kya ghos pak ko pukarna shirk he?Adv.faiz syed IRC TV - dailymotion

2016-07-21 2

1. haakimay mutlaq (Final ruling authority) sirf aur sir Allah hai.... yeh HAQ agar kissi baad.shah ki dia jaye yaa kissi parliment ko ... yeh bhi SHIRK hai

2. Sirf aur sirf ALLAH hi har jagah aur har waqt maujood hotaa hai aur bayak waqt sab ki son saktaa hai ........ lehazaa (ghaibaanaah) madad /help k liyeh sirf aur sirf ALLAH hi ko pokaarnaa chaahiye... Yaa Allah Madad ... k elawah kissi aur ko Yaa falaaN madad k liyeh pokaarnaa shirk hai..

jab falaaN aap k saamnay maujood nah ho yaa iss dunyaa hi say rukhsat hochukaa ho....

har wat har jagah haazir o naazir sirf aur sirf
ALLAH hai... hazrat Muhammad saw bhi nahi k aik hadees k motabiq jab koi mujh par darood bhejta hai to woh mujh tak pahonchaya jata hai... aur jab koi meray rozay k saamnay darood paRhta hai to woh maiN khud sontaa houn.

3. Allah nay kuch ikhteyaar sirf apnay pass rakha howa hai... inn sifaat maiN kissi ko shareek Thah.ranaa / samajhnaa bhi SHIRK hai... like zindagi aur maut denay walaa sirf aur sirf ALLAH hai khah woh directly (bilaa kissi wastay k) day yaa kissi waastay say.... kissi aur k baray maiN yeh gumaan /yaqeen rakhna k woh zindagi day sakta hai / cheen saktaa hai shirk hai

like kissi expert surgeon k pass kissi martay howay mareez ko lay jaanaa aur oss say yeh kahnaa / samajhnaa k doc sb iski zindagi bus aap ka haathoun maiN hai .... yaa kissi haakim /zaalim k saamnay apni zindagi ki bheek maangnaa ko woh iski 'khataa" bakhsh day aur zindagi ki bheek day day.... both r SHIRK

4. poraani shariyatoun maiN ghair-ALLAH k samnay jhuknaa aur sajdah karnaa ... tazeem ki khaatir , ibaadat ki khatir nahi) allowed thaa... magar ab sharitaya Muhammadi PBUH main kissi ghair ALLAH ko sajdah karnaa to kujaa oskay aagay RAKOO jetnaa jhuknaa bhi SHIRK hai.... jaisaa artist log /performers stage par haazereen /judges k saamnay jhuk kar onki tazeem kartay haiN... it is also SHIRK

5. ALLAH k elawah aur kissi ko RAAZIQ (rizq denay wala) samajhnaa /kahnaa bhi SHIRK hai...aik hadees maiN Allah k rasool saw nay farmayaa k maaN k paiT maiN mukhtalif stages maiN insaan ki takhleeq hoti hai... aur final stage, yaani rooh daalnay say pahlay oskay liyeh RIZQ likh dia jata hai