yun dee hamein azadi ke duniya huee hairaan
ae quaid-e-azam tera ahsaan hai aisa
ae quaid-e-azam tera ahsaan hai aisa
har tin pe musalmano pe chaahee thi tabahee
mulk apna tha aur Gairoon ke haathon mein thee shahee
aise mein utha deen e mohammad ka sipaahi
aur narae e takbeer se dee tu nay gawahee
islam ka jhanda liye aaya sar-E-maidan
ae qaid e azam tera ahsan hae aisa
tera ahsaan hae, tera ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan
dekha tha jo iqbal ne ek khwaab suhaana
us khwaab ko ik roz hakeekat Hai banana
yeh socha to jo tu nay to hasa tujhpe zamana
har jaal se chaaha tujhe dushman ne harana
maara woh TU NAY daao ke dushman bhi gaye maan
ae quaid e azam tera ahsaan hae aisa
tera ahsaan hae, tera ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan
larne ka dushmano se ajab dhang nikaala
na top na bandook na talwar na bhaala
sachaaee ke anmol asoolon ko sanmbhaala
jinnah tere paigham mein jaadoo tha niraala
Iman waale chal pare sunkar tera parmaan
ae quaid e azam tera ahsaan hae aisa
tera ahsaan hai tera ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan
punjab se bangal se jawan chal pare
Sindhi Baloochi sarhadi pathan chal pare
GHAR BAAR CHOOR DE SAROO SAMAAN CHAL PARAY
taaq apne mahaJir liye quran chal pare
aur quaid e millat bhi chalay honay ko qurban
ae quaid e azam tera ahsaan hai ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan
naqsha badal ke rakhdiya is mulk ka tunay
SAAYA tha mohammad ka ALI KA tere sarr pe
duniya se kaha tunay koi HUM SE NA ULJHAY
likha hai is zamee pe shaheedon ne lahu se
azad hain azad rahein gay yeA musalmaan
ae quaid e azam tera ahsaan hae aisa
tera ahsaan hai tera ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan
hai aaj tak hamein woh qayamat ki gharee yaad
mayat pe tere cheekh ke humne jo kee faryad
boli yeh teri rooh na samjho ise bezaar
Islam zinda hota hae har karbala ke baad
Islam zinda hota hae har karbala ke baad
Dar waqt parhe mulk pe hojaaeye qurban
ae quaid e azam tera ahsaan hae aisa
yuun dee hamein aazadi ke duniya huee hairaan
ae quaid-e-azam tera ahsaan hae aisa
tera ahsaan hai tera ahsaan
tera ahsaan hai tera ahsaan