Taangon aur kamar mein dard mehsoos hota hai_fard susti, kaahili aur udaasi mehsoos karta hai_mizaj chirrchira ho jata hai_ehsaas e kamtari ki wajah sey fard kisi sey aankh mila kar baat nahin kar sakta.
Yaqeen karein kay inn tabah kaariyon ki koi haqeeqat nahi. Albatta kuch log ehtelam kay ba'ad kuch kamzori aur doosri jismani aur nafsiyati alamaat (symptoms) ki shikayat kartey hain. Iss ki wajah manfi suggestions hain jo humein ghaer meyari kutub aur deewaron per ishtehaarat sey milti hain jin mein ehtelam ki tabah kaariyon ka zikr hota hai. Phir fard sochta hai kay woh kamzor ho jaey ga to woh kamzor ho jata hai, dar asal insan jaisa sochta hai waisa hi mehsoos karney lagta hai.