Islam ek mukammal zabta e hayat hai jiss ney apney paero kaaro'n ko zindagi kay har shobey mein rehnumaee fraham ki hai. "Jinsi Zindagi" (sexual life) insaani zindagi ka ahem tareen pehlu hai. Chunancha Allah ney Hazrat Adam kay sath Amma Hawwa ko paeda farmaya. Quran Majeed mein irshad hai kay, "uss ney tumharey liye tumhari hi jins sey biwiya'n bana'een ta'kay tum unn kay paas sukoon hasil karo" (Surah Rome Ayat 21) Isi liye Allah kay nabi ney farmaya kay nikah meri sunnat hai jiss ney iss per amal na kiya woh hum mein sey nahin.