19th Jan
Aaj Pakistan ki Mash'hoor Gulookara Mehnaz Begum ki Teesri barsi thi, Yoon to Mehnaz Begum ne kye Filmi o Gher Filmi Geet aur Ghazlen gaayeen Lekin Hamari Bazm Sirf Qaumi Naghmat ki Bazm hai Is liye Hum Unhe Qaumi Naghmat ki waja se Jaante hain , Mehnaz Begum ne Radio aur TV ke liye 30 se zaayd Qaumi Naghmaat Record karwaye Unka Pehla Qaumi naghma Radio pak Karachi mai 1974 ko release hua jis ke Bol "Aye Zameen-e-Watan" thay.
Mehnaz ne Ahmed Nadeem Qasmi ki Dua " khuda Kare ke Meri Arz-e-Pak pe Utre" Sab se Pehle Naghma ki surat record karwayee. Mehnaz ke Chund Mash'hoor Qaumi Naghmaat Yeh hain :
*Aye Meri Sarzameen-e-Watan
*Khuda Kare ke Meri Arz-e-Pak pe Utre
*Apni Dharti ke Darban Saarhe Aath Crore Insan
*Aye Meri Khwabon ki Jannat
*Watan ki Sarzameen ko Rashk e Aasman
*Is Pak Sarzameen pe Mai Waari Waari jaaon
*Aye Sab Jug ke Rakhwale, Mera Saajan Tere Hawale
*Yeh Din Apne Aap ko Dohranay ka Din hai
*Zindagi Raqs Karti rahe gi
Pakistan Television Karachi ne 1986 mai Janab Tajdar Adil Sahb ki Peshkash mai Kaleem Usmani ka Tehreer karda Naghma " Mera Watan Azad Rahe" Tayyar kiya jis ki Mauseeqi Niaz Ahmed Sahb ne tarteeb di, Yeh Qaumi Naghma Nayab ho gya hai lekin Aaj Mehnaz ki barsi ke moqay par Mere Collection se Aap Sab ke liye :)
Waazeh rahe k Mehnaz ki walida Kujjan begum marsiya khwan ne bhi aik Qaumi Naghma " Aye Watan Tu Mehakta rahe" bhi gaya jab ke un ke walid Akhter Wasi Ali aur Khala Kaukab Jehan ki Awaazen Qaumi Taranay mai Shaamil theen, unki Khala Ishrat Jehan ne bhi Karachi Radio par kyee Khubsurat aur Pur Josh Qaumi Naghmay Record karwaye jin mai Jang-e-Sitamber ka Fatah Nama " Aye Jawano ! Aye Jiyalo ! " bhi Shaamil hai .