Shree Vishnu Chalisa - (Full Song) श्री विष्णु चालीसा

2016-01-07 4

Shree Vishnu Chalisa

Shree Vishnu Suniye Vinay, Sevak ki chit laye,
Keerat Kuch Varnan Karoon, Dijiye gyan Batay.

Namo Vishnu Bhagwan kharari, Kashat Nashavan Akhil Bihari;
Prabal jagat mein shakti Tumhari, Tribhuvan phail rahi ujiari.

Sunder roop manohar surat, saral swabhav mohini murat;
tann par pitambar ati sohat, vaijanti mala man mohat.

shankh Chakra kar gada biraje, dekhat daitya asur khal Bhaje;
satya dharm mad lobh na gaje, kam krodh mad lobh na chaje.

Santbhakt sajjan manranjan, danuj asur dushtan dal ganjan;
sukh upjaye kasht sab bhanjan, dosh meetay karat jan sajjan.

Pap kaat bhav sindhu utaaran, kasht naashkar bhakt ubaaran;
karat anaek roop prabhu dhaaran, keval aap bhakti ke kaaran.

Dharani denu ban tumahi pukara, tab tum roop Ram ka dhara;
bhaar utaar asur dal Maara, Ravan aadik ko sanhara.

Aap Varah roop banaya, Hiranyaksh ko maar giraya;
dhar Matasya Tann Sindhu Mathaya, Chodaha Ratann ko Niklaya.

Amilak asuran dvand machaya, Roop Mohini aap dikhaya;
Devan ko Amrit paan karaya, asuran ko chavi se behlaya.

Koorm roop dhar Sindhu machaya, Mandrachal giri turant uthaya;
Shankar ka tum phand chudaya, bhasmasur ko roop dekhaya.

Vedan ko jab asur dubaya, kar ke prabandh unhein dundhvaya;
mohit Bankar khalhi nachaya, ushi kar se bhasm karaya.

Asur jalandhar ati baldai, Shankar se un Keenh ladai;
Haar Paar Shiv Sakal banai, Keen Sati se chal khal jai.

Sumiran Keen tumhein Shivrani, Batlai sab vipat kahani;
tab tum bane munishwar gyani, vrinda ki sab Surati bhaulani.

Dekhat deen danuj shaitani, Vrinda aaye tumhe laptani;
Ho Sparsh dharm kshati maani, hna asur ur Shiv Sailani.

Tumne Dhruv Prahlad Ubare, Hiranyakush aadik khal mare;
ganika aur ajaamil taare, bahut bhakt bhav sindhu uatre.

Harhu sakal santap hamare, kripa karhu Hari sirjan haare;
Dekhu main Nit darsh tumhare, deen bandhu bhaktan hitkaare.

Chahat aapka sevak darshan, karhu daya apni Madhusudan;
jaanu nahi yogya jap pujan, hoy yagy stuti Anumodan.

Sheel daya santosh sulakshan, vidit nahi vratbodh vilakshan;
karhu aapka kis vidhu pujan, Kumati vilok hot dukh bheeshan.

Karhu pranam kaun vidhi sumiran, kaun bhanti mein karhu samarpan;
Sur muni karat sada sivkai, harshit rahat param gati pai.

Deen dukhin par sada sahai, nij jan jaan lev apnai;
paap Dosh Santaap nashao, bhav bandhan se mukt karao.

Sut sampati de sukh upjao, nij charanan ka daas banao;
Nigam Sada ye vinay sunave, padein sune so jan sukh paavein

Videos similaires