Chehre Ke Badnuma Daagh Dhabbe Or In Ka Ilaj
Chehre par mojood daagh dhabbe husan ke dushman hein jin ki waja se chehre ke naqsh apni jazibyat kho dete hein in daagh or chayo ko door karne ke liye milk,balai or mukhtalif fruits ke rus istamal kiye jate hein kiyounkay ye tamam ashya halke bleach mein shumar ki jati hein. Jesa ke sangtara motadil tonner ha or is ke rus ko bleach ke tor par chehre par use kiya jata ha. Grape fruit or pine apple ka rus skin ko saaf rakhta ha or ise mutaharrik karta ha.
Narangi ke phoolon ka arq bhi chehre se daagh dhabbe door karne or rang ko nikharne ke liye use kiya jata ha. Lemon ka rus bhi halka bleach ha jo rangat saaf karne, daag dhabe door karne ke liye moassar dawa ha is ko lagane ka tarika ye ha ke lemon juice chehre par laga kar ise khushk hone dein jab khushk ho jaye to moo hargiz na dhoyen balkay is ko isi tarah rehne dein. Chand orz ke use se daag dhabe door hona shru ho jayengay. Kaddukash ki hui mooli 4 khane ke spoon lekar is mein few drps sirkay ke mila kar lai se bana lein ise chaiyon par lagayen. Is ke ilawa makhan or doodh inhen face ke daag dhabo par massage karte hue lagayen. Lekin khushk hone se pehle moo no dhoyen is nuskhe ka daily use chehre ko saaf shaffaf banata ha.