Dahi Ke Insani Jism Par Asrat

2015-12-19 5

Dahi Ke Insani Jism Par Asrat
Dahi (Yogurt) insani health ke liye mufeed tareen ghizao mein se 1 ha. Ye calcium se bharpoor hota ha jo ke bones ko strong banata ha. Is ke sath sath ye protein se bhi bharpoor hota ha jo muscles mazboot banane mein madadgar hote hein. Is ke ilawa khane ke baad dahi ka use kiya jaye to ye khana jald hazam karne mein madad deta ha or deegar khano ki ghizayat jazb karne mein bhi insani jism ke muawin ka kaam karta ha.

Ye behtareen anti oxidant bhi ha yani jism ko zehreelay maday or khatarnak muwad se pak bhi karta ha. Dahi mein mojood bacteria ya quwate mudafi'at mein izafay ka bai's hota ha. Is tarah is mein insani jism ke liye zaroori vitamins bhi kafi miqdar mein mojood hotay hein. Ise sar par laga kar aap khushki se nijat bhi hasil kar sakte hein. Is ke ilawa is mein vitamin E, zinc or phosphorous hote hein jo insani jild (Skin) ke liye intahai mufeed hein.

Easy Viral Banner Traffic