Safety Precautions During Pregnancy

2015-09-19 42

Visit http://www.islamiwazaif.com

Islamic and Quranic Wazaif in urdu, Ahadees Sharif, Masnoon Duain, Durood Sharif, complete Quran Pak with Urdu and English Translation, health tips, beauty tips, ghareloo totkay, fruit benefits, vegetable benefits and find the solution of all your problems through Rohani ilaj.

Facebook Page: http://www.facebook.com/islamiwazaifurdu
Twitter: https://twitter.com/iftikharalamsbg
Google+: https://plus.google.com/116083544705757703790

Safety Precautions During Pregnancy
Vegetable or fruit pehle month mein ziyada lein magar bohat achi tarah dho kar.
Tea, coffee, mirchein, ghee, pan waghera mamnoo kar dein.
Ziyada weight utahne se perhaiz karein or jhuk kar karne wale kaam band kar dein or zor kisi soorat na lagayen.
Subah 1 apple khane ki aadat dalein.
Namaz ki pabandi rakhein.
Green vegetables khane mein barha dein kiyounkay in mein Iron ki quantity ziyada hoti ha jo ke hamla khatoon ko ziyada chahiye hoti ha.
Andhere mein chalne phirne ahtiyat karein, thokar lagne se bachne ke liye.
Har Thursday ko Surah Mulk or Durood Sharif parh kar apne pait par hath pher dein.
Caffeine ka use pehle 5 months bilkul band kar dein, cola, tea, coffee sab caffeine mein shamil hein.
Legs sooj jane ki soorat mein legs ke neechay takya rakh kar bethen or leten.
Agar seene mein jalan mehsoos ho to half cup cold milk chote chote ghont lekar pi lein.
Tarbooz ka mosam ho to wo din mein 1 dafa zaroor khayen.
Ziyada urine aane ki soorat mein pani bhi ziyada piyen.
Walk zaroori ha, roz 15 se 30 minute ki walk zaroor karein.
Tez masala khane mein use mat karein.