Visit http://www.islamiwazaif.com
Islamic and Quranic Wazaif in urdu, Ahadees Sharif, Masnoon Duain, Durood Sharif, complete Quran Pak with Urdu and English Translation, health tips, beauty tips, ghareloo totkay, fruit benefits, vegetable benefits and find the solution of all your problems through Rohani ilaj.
Facebook Page: http://www.facebook.com/islamiwazaifurdu
Twitter: https://twitter.com/iftikharalamsbg
Google+: https://plus.google.com/116083544705757703790
Bodybuilding Ke Muzir Asraat
During bodybuilding agar munasib ghiza or khoorak use na kiya jaye to body mein energy ki shadeed kami ho jati ha or weight mein bhi wazeh tor par kami ho jati ha.
Khoorak ki kami or bay qaidgi se majmooi tor par sehat mutasir hoti ha or bodybuilding ki exercises mazeed sehat par buray asraat murattab karti ha kiyounkay exercise ke doran body ko ghizai ajza or energy ki ziyada zaroorat hoti ha.
Bodybuilding mein baaz auqat aesaab mein stress paida ho jata ha jo baad mein mazeed pecheedgio ka sabab banta ha.
Bodybuilding ki exercises ke ghair munasib tareeko se muscles ki nasho numa baaz auqat ruk jati ha., jis ki waja se aksar bodybuilder ia anari afrad ke height chotay reh jate hein.
Jabkay bodybuilders warzish ki sakht mashqo se jismani thakawat ka bohat ziyada shikar ho jaye hein or inhen mamool se ziyada rest or khoorak ki zaroorat parti ha, magar in dono mein si kisi 1 ke fuqdan se sehat par negative asar murattab hote hein.
Bodybuilding mein baaz aesi exercises hein jo sar anjam dene se joron ke amraz paida ho jate hein.