Anarkali - Bewafa Ham Na Bhoolay Tujhay - Noor Jehan (Audio)

2015-08-05 14

Studio mein Bewafa hum na bhoolay tujhe ki recording start hui.. Jaise hi Madam nay kaha Bewafa ... master sb nay nafi mein sar hila dia.. aur kaha dobara se.. Madam samjheen shayad recordist se koi ghalti hui ..in-time start nahi kar saka hoga.. Dobara say taan uthaai Bewafa ... master sb nay phir cut karwa diya .. is baar kaha kay 'nahi .. theek nahi hay dobara gaayen' .. Obviously Noor Jehan bahut respect karti theen Master sb ki aur woh thay bhi is laayeq..so Madam nay thora sa different kar kay phir se taan lagai magar Master sb kay chehray par phir mayusi .. Madam zich to ho gayeen magar adab se boleen "Master ji tusi chounday ki o?" means aap kis tarah ki adayegi chahtay hain.. Master ji nay kaha kay baat ye hay kay lafz Bewafa aap is tarah kahain kay us mein bewafai ka dard bhi sunaai day" .. Madam batatai hain kay meri kuch arsa pehlay Shaukat Rizvi se divorce hui thi (shayad 3, 4 saal pehlay) to maine unhi ko yaad kiya aur phir jo lafz bewafaaaaa stretch kay sath adaa kiya to Master sb nay OK kar diya ... Master sb kaam kay muaamlay mein vehmi ki hadd tak perfectionist thay .. Film Nayela ka music super dooper hit honay kay baad bhi aik din kisi mubarak denay walay ko kaha yaar baqi to theek hay woh aik junglee chorus tha Nayela mein us par thori mihnat aur karni chahiay thi mujhe..
Regards
Dr.Bukhari 03146101111 (Pak Time 2pm-9pm Only)