Unke andaaz e karam unpe wo aana dil ka
Haye wo waqt wo baatein wo zamana dil ka
Na suna usne tawwajo se fasaana dil ka
Umer guzri hai magar dard na jaana dil ka
Dil lagi dil ki lagi ban ke mita deti hai
Rog dushman ko bhee Ya Rabb na lagana dil ka
Wo bhe apny na huay dil bhe gya hathon se
Aesy aany se behtar tha na aana dil ka
Naqsh bar aab nhe wehm nhe khuaab nhee
Aap kyu khel samajhty hain mitaana dil ka
Unki mehfil mein Naseer (R.A) unky tabassum ki qasam
Dekhty reh gye hum hath se jaana dil ka