Tum hi se Aye Mujahido Tribute to Martyrs of Peshawar Massacre

2015-01-23 2,126

They went to School but never came back
Tum hi se Aye Mujahido! Jahan ka Sabaat hai
Tumhari Mishal bapa, Farogh-e-shash jehaat hai
Tum hi se Aye Mujhido! Jahan ka Sabaat hai
Tumhari Zau Dilnasheee'n Yaqeeni kainat hai
Wafa ki Roshni ho Tum panah Andheri raat hai
Shaheed ki jo Maut hai woh Qaum ki Hayat hai
Lahoo jo hai Shaheed ka woh Qaum ki Zakaat hai
Tum hi se Aye Mujahido! Jahan ka Sabaat hai
Nisar Jis pe Qaum ho Hawa ke Shahsawar Tum
Har Aankh ki ho Roshni Dilon ka ho Qaraar Tum
Baqa-e-Ahteraam-e-Deen-e-Haq ke Dostaar Tum
Jahan mai Amn-o-Kher ki Bina-e-Paaidaar Tum
Shaheed ki jo Maut hai Woh Qaum ki Hayat hai
Lahoo jo hai Shaheed ka Woh Qaum ki Zakat hai
Tum hi se Aye Mujahido! Jahan ka Sabaat hai
Zakat dai agr koi to ziada ho Tawangari
Bikhair dain anaaj agr to Fasal ho Hari Bhari
Chatain jo Chund Daliyan Namoo ho Nakhlistan ki
Katain jo chand gardanain to Qaum mai ho Zindagi
Shaheed ki jo Maut hai woh Qaum ki Hayat hai
Lahoo jo hai Shaheed ka woh Qaum ki Zakaat hai
Tum hi se Aye Mujahido! Jahan ka Sabaat hai
Tumhari Mishal bapa, Farogh-e-Shash Jehaat hai

Singer : Alamgir
Poet : Abdul Majeed Salik(Late)