Dost Kia Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain
Har Naye Mor Par Aik Zakham Naya Dete Hain
Tum Se To Khair Ghari Bhar Ki Mulaqat Rahi
Log Sadiyon Ki Rafaqat Ko Bhula Dete Hain
Kese Mumkin Hai Ke Dua Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jaly
Chot Parti Hai To Pathar Bhi Sada Dete Hain
Kon Hota Hai Museebat Mein Kisi Ka Aye Dost
Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain
Jin Pe Hota Hai Bohat Dil Ko Bhroosa ‘Tabish’
Waqt Parne Pe Wohi Loog Dagha Dete Hain..(Tanhaiii)