Na Chemistry Hoti Na Love Hota
Na Chmistry hoti na main Student hota
Na ye Lab hoti Na Ye Accident Hota
Abhi Practical main ayee nazar Ek Larki
Sundar thi Naak Us ki Test Tube Jaisi
Baton main Us ki Glucose ki Mithas thi
Sanson main Ester ki Khushboo bhi sath thi
Aankhon se jhalakta tha kuch is Tarah ka Pyaar
Bin Piye hi ho jata hai Alcohol ka Khumar
Benzene sa hota tha Uski Presence ka Ehsaas
Andhere main hota tha Radium ka Ahsas
Nazrain mileen, reaction hua
Kuch is tarah Love ka Production hua
Lagne lage Us ke Ghar ke Chakkar aise
Nucleus key charon taraf Electron hon jaise
Us din hamare Test ka Confirmation hua
Jab us ke daddy se hamara Introduction hua
Sun kar hamari baat wo aisay Uchal pari
Ignesiun Tube main jaise Sodium Bharak uthe
Wo boli, Hosh main aao, Pahchano apni Auqat
Iron mil nahin sakta kabhi Gold ke saath
Ye sun ker Tuta hamare Armanon Bhara Beaker
Aur hum Chup rahay Benzaldehyde ka Karwa Ghoont pee ker
Ab us ki yadon ke siwa hamara Kam chalta na tha
Aur Lab main hamare Dil ke siwa kuch jalta na tha
Zindagi ho gayee Unsaturated Hydrocarbon ki Tarah
Aur ham phirte hain Awara Hydrogen ki Tarah
girish parganiha
http://www.poemhunter.com/poem/na-chemistry-hoti-na-love-hota/