~maa ki mamta kitani bholi kitani pyaari
~duniya mein hai sabse nyaari
~sabse bholi sabse yaari
~maa ki mamta kitani pyaari
~mujhko deti hai jee bhar pyaar aur dulaar
~bholi bhali surat me hai mamta ki murat
~jeevan jisne diya hume karni chahiye parwaha hume
~maa ki mamta kitani bholi kitani pyaari
~duniya mein hai sabse nyaari
~man ko tatolati hai usko ankhe raho kahi tum age yaa pichche
~maa me hai man, aur man me hai basi tu maa
~dua karu mai lag jaye meri bhi tujhe umar maa
~maa ki maaya aur unke aanchal ki saaya
~ bankar rahe sabhi par chhaya
~karungi yahi dua main Umra bhar
~maa mai kaise karu ye vyakt ki...
~jeevan hai mera tere bina vyarth
~maa ki mamta kitani bholi kitani pyaari
~duniya mein hai sabse nyaari
~tere har baton me hai meethi aash
~tere bina mai ho jati hun nirash
~maa ki mamta kitani bholi kitani pyaari
~duniya mein hai sabse nyaari
~maa 'ritu' ko hai teri yaad
~yahi hai maa meri tujhse fariyaad
~maa tum ho sabke dil ke paas
~maa tum ho sabhi dilo ki Aash
~maa ki mamta kitani bholi kitani pyaari
~duniya mein hai sabse nyaari
~maa hai sab 'ritu' ki Aash
~Ritu Rai
*Please Remember*
*All of my poems are copy righted. Do not copy them and claim them as your own. If you want a copy of the poem please ask for permission before you copy it.*
Ritu Rai God has a plan for the seasons.
http://www.poemhunter.com/poem/9575-9572-9575-maa-ki-mamta-mother-9575-9572-9575/