Ghar se chale toh the maikhane ko
mil gaye sheikhji lage samjhane ko
Paaye hain humne rindon sey ye mashware
Gina nahi karte yahan paimane ko
Kab tak rokoge mujhe aur hoga kya haasil
aaen hai yahan hum bhi toh kabhi jaane ko
Phir khade hain sar jhukae dar par tere
Phir paaya hai tooney mauka hume satane ko
Na utha waaiz maikhane se sahar hone tak
Hae kitne chhupa rakhe the raaz batane ko
Ashk na rahe aankhon mein magar ab bhi
Badan mein lahu bahot hai bahane ko
Ek zarra hoon khaak-e-ku-e-yaar mein nihaan
Kyun dhunde hai woh phir mujhe mitane ko
Jiyega tere vade par aaj kyunkar Talab
Aaya hai kab tujhe pyaar jatane ko
Talab ...
http://www.poemhunter.com/poem/ghar-sey-chale-toh-the-maikhane-ko-ghazal/