Waqt ne hanthon me khanjar thamaa diyaa,
Insaan ko bhi isne kaise haiwaan bana diyaa,
Aag lagaaye phir yun lagaate challe gaye
Itni lsgaayee aag ki khud ko jalaa liyaa
Waqt ke hathon ne hame bauna banaa diyaa,
Aadmi the pahle, kaise khilaunaa banaa diyaa,
Bekhauf parinde ki parwaaz dekhiye,
Beshrm aankhon ki ab andaaz dekhiye
Waqt se aage nikalne ki hod me,
Waqt ko hi hamne qamina banaa diyaa
Badalte gaye khud ko khushi ki talaash me,
Badal gayaa hai waqt bahaanaa banaa diyaa,
Waqt ke hanthon me khanjar hamne hi to dee,
Waqt ne ab mujh par hi khanjar chalaa diyaa
Begunaahi ki geet gaate ho to gaao be jhijhak,
Waqt ne hamen hi aayeenaa dikhaa diyaa
Hosh me na aaye to lut jaaoge sun lo,
Chalnaa hai kis raah abhi waqt hai chun lo
©2014 Aftab Alam Khursheed. All rights reserved
Aftab Alam
http://www.poemhunter.com/poem/hosh-me-na-aaye-to-lut-jaaoge-sun-lo/