Patthar se dilwaale, chhup- chhup kar rote hain,
Wo mom kya royegaa, bas ye to pighalte hain,
Jo pyaar jataate hain, kab pyaar wok arte hain,
Rah jaati hain koshishe, waade hi bikharte hain,
Mehnat jo karte hain, kab kis se darte hain,
Makkaaro se puuchho, kai baar wo marte hain,
Himmat hai jara jisme, jal- jal kar jite hain,
Roshan ho meri duniya, pal- pal ye kahte hain,
Murdo sa pade kyon ho, dharti me gade kyon ho,
Dhanste hi jaate ho, fanste hi jaate ho,
Zuban sili hai kya, uf tak nahi karte ho,
Apne hi lahu ko kyon, is tarah tum pite ho
Aftab Alam
http://www.poemhunter.com/poem/murdo-sa-pade-kyon-ho-hindi/