Raat bhr ro-ro kar ankhen is qadr nam hui,
Zindagi ghanso par bichhi shabnam hui,
Ummid ki ek kiran mere wajod par jab padi,
Muskurate honton ko dekh ankhon ko hairani hui,
Aasman par ek bachcha sunahri gend se khelta hai,
Kuchh bhi na bolkar wo bhut kuchh bolta hai,
Jab thak kar ummidon ke saye me wo so jaata hai,
Dhund kar bachcha phir se wahi sunahri gend lata hai,
Haar maan gaye to jeet ki haar kho doge,
Kaho apne daman se is jahan ko kyaa doge?
Aao ummidon ke saaye tale ek ghar banaye ham,
Zindagi chaar din ki hai! ye bhi koi baat hui,
Aftab Alam
http://www.poemhunter.com/poem/haosla/