Apni aankhon ka kajra bana lo mujhe,
Apni zulfon ka gajra bana lo mujhe,
Apne honton ki madira pila do mujhe,
Chand jaisa yeh chehra dikha do mujhe.
Dhoop mein apni zulfon ka saya karo,
Muskura kar kabhi to bulaya karo,
Kabhi chup chup ke raton mein aya karo,
Gungunaya karo hosh uraya karo.
Bun ke badal kabhi mujhpe barso zara,
Jhank kar meri aankhon mein dekho zara,
Ek shab umr ko de do dhoka zara,
Mujhko chaho zara mujhko socho zara.
Tum hatheli pe mehndi rachaya karo,
Apne honton pe lali lagaya karo,
Choorion ki khanak bhi sunaya karo,
Peyar ke geet chupke se gaya karo.
Tum gulab ho agar to mehak jao na,
Tum sharab ho agar to chalak jao na,
Tum shabab ho agar to behak jao na,
Aag ban kar kisi din dehak jao na.
Akhtar Jawad
http://www.poemhunter.com/poem/aag-bun-kar-kisi-din-dehak-jao-na/