Hum yunhi aaine mein jab dekhte hain
is aks mein kya hai jo sab dekhte hain
Kaunsi baat padhi hogi kaano mein
Jo mujhe is nazar se sab dekhte hain
Rakibon ney tahe dil sey Ik baat kahi hai
ishq kijiye toh janaab, jab dekhte hain
Ab nakaamiyon sey jee bhar bhi aaya hai
Abke rok ai khuda, tab dekhte hain
Jab bhi kiya izhaar e mohabbat unse
Bole woh has ke ab-tab dekhte hain
Woh jab bhi aate hai kareb mere
Unki aankhon mein wahi Talab dekhte hain
Kya munh lekar unki mehfil mein jaun
Uthakar nazar woh hume kab dekhte hain
Hota hai jab teri bewafai ka zikr
Hum khud ko aab aab dekhte hain
Ye kayamat nahi Talab toh aur kya hai
Woh hume hum unhe be adab dekhte hain
Talab ...
http://www.poemhunter.com/poem/kabhi-hum-yunhi-aaine-mein-dekhte-hain-ghazal/