Yeh zindagi ka ik naya daur sahi
Khushiyan nahi, gum aur sahi
Ab chupaye nahi chupti yeh tishnagi
Piladey saqi ik jaam aur sahi
Ik bar mudo toh sahi ay Jaan-e-ada
Dekhen hum bhi mahtab kuch aur sahi
Taankti reh gayi aane ko jo nazar
Phir Tera bahana koi aur sahi.
Ek tak theheri rahi jo nazar tujhpar
Ik mera masoom gunaah aur sahi
Kya mel aur kaisi yeh judaai
Phir yeh tanhaiyan aur sahi
Kya gila jo toot gaye do char Talab
Phir dekhenge kuch khwab aur sahi
Talab ...
http://www.poemhunter.com/poem/yeh-zindagi-ka-ik-naya-daur-sahi-ghazal/