Ik nai ghazal sunao toh acha lagey
Kuch paa baitho, gungunao toh acha lagey
Jaan pehchan toh nahi par phir bhi
Zara dekh kar muskurao toh acha lagey
Keh denge duniya sey tum meri ho magar
Tum bura na maano toh acha lagey
Tere hi dum sey hai humara nasib
Tum hi usey sawaaro toh acha lagey
Kaun kisi ka hai is duniya mein lekin
Tum apna mujhe banao toh acha lagey
Nahi is dosti mein waiz kuch dum
Piyo nahi pilao toh acha lagey
Yehi dua ki laage tujhe bhi rog mera
Miley tujhe bhi wohi 'Talab' toh acha lagey
Talab ...
http://www.poemhunter.com/poem/ik-nai-ghazal-sunaun-ghazal/