pyar mohabbat, rang-o-boo,
thoda sa main, thoda tu
sab badal rha hai
wo teree meree ek khaani
wo barish ka rimjhim paani
wo chaty main hum aur tum
aur mausam ki wo nadanee
sab badal rha hai
wo merey khwab wo meree minnat,
wo ankho ki teree jannat
wo bina pankh udney ki chahat
sab badal rha hai
chal hum bhi kissa ho jaaty hain,
iss duniya main kho jaaty hain
kya lena hai ek dooje se
chal hum bhi so jaaty hain.
kal jab iss khwab se jagyngy,
bus daulat ky peechy bhagyngy.
aaj yeh din bhi
mom ky jaise pighal rha hai
akhir kyon sab kuch badal rha hai
adil khan
http://www.poemhunter.com/poem/sab-badal-rha-hai/