Zara Jaam to utha, o dehlvi aur doob jaa is nashe mein
Aa le chaloon ek sunehre safar par jahaan dil hi dil basen
Zara aankh to band kar, o dehlvi aur phir kho jaa jhilmil sitaron mein
Bhool jaa bahar ki duniya, chand lamhon ke liye.Yahan ghalib aur zauq bhi basen
Zara chakh le is meethe ras ko, o dehlvi aur le aa mithaas apne jeevan mein
udel de is neeras jaan ko ki isme bas prem hi prem basen
Zara band kar is shorgul ko o dehlvi aur samaa jaa is divya gunjan mein
Jahan shabdon se sakdon phool khilen aur chaandni bhi chahen ki yahaan basen
Zara utaar le saare naqaab, o dehlvi aur pravesh kar is paak duniya mein
Iska nasha to aisa nasha hai jo saat janmon tak aake tumhare hriday mein basen
Renu Rakheja a.k.a Tranquil Ocean
http://www.poemhunter.com/poem/j-19-general-o-dehlvi-hindi/