sonali kumari - Kya Gareebi Ka Matalab Hota Hai Bal Mazdoori.........

2014-06-13 2

Ham Kya Jane Duniya Dari,
Duniya hamse kitni bhari.
Jeene do ham bacho ko,
Bachapan ki lahriyon me
Hame yu na dhakelo aag ki lariyo me.
Ham chahein jeena is khuli duniya me
Magar tum ho ki hme kheech laate ho
Karkhano ki duniya me
Hamari bhi kuchh abhilasha hai
Hme bhi kuchh ban is duniya ko dikhana hai
Ham chahe bas thoda padna
Bas itna ki ham khud ko pahachan
Payein banch jeevan kya?
Jaise auro jayen vidyalay
Kuch padne, kuch kar dikhane,
waisa hi kuchh ham v chahein
Ham chahe un bulandiyon ko chhoona
Jha pahunch tum krwate hamse mazdoori
Magar whan pahunch ham na kren aisi bewakufi
Ham chahe sab padhe sab badhe ka nara lagana
Hme kheech fir karkhano me na lana
Ham v insaa tum v insaa fir hme kyu mile sazaa
Hamari yah janane ki hai echha
Ham chahein janna duniya-dari
Chahe janana yah kitni bhari
Jeene do ham bachho ko bachapan ki lahriyo me
Mat jalao hamari echhaon aur abhilashaon ko.

sonali kumari

http://www.poemhunter.com/poem/kya-gareebi-ka-matalab-hota-hai-bal-mazdoori/

Free Traffic Exchange