Priya Arora - Ho Raha Hai Kya Mere Bharat Mai!

2014-06-11 4

Kya kahe, kya na kahe
yeh soch kar dil ghabrata hai.

Ho raha hai kya mere bharat mai,
Soch kar dil dehal jata hai.

Desh banta hai logo se,
Logo ka acharan desh ko banata hai.

Kya ho gaya logo ki soch ko,
Yeh soch ke dil afsos manata hai.

Keu lagta hai daar yaha par,
Keu Khofh ka dera hai.

kho gaya bharat kahi mera,
na raha sukh shanti ka basera hai.

Mann hai bohat bechan yaha par,
udassi se chai hai.

kuch logo ki karne ne,
dil mai khoff ki loh jagae hai.

Hazaro mann mai khawaese,
par urne ki na aazadi hai.

Ho raha kya Larkeyo ke sath yaha,
Soch kar rooh kaap jate hai.

Kya gunah hai koi larki hona,
ya koi yeh apraad hai.

yeh soch kar rota hai dil mera,
Bhartiya hone par ab na naaz hai.

Samay bohat balwan hai,
yeh bhi bura waqt beet jae ga.

Sukh ka hoga suraj uday yaha par,
Har dil yaha muskurae ga.

Har dua mai mere, bus ab yahi baat hai.
Jaldi se wo din wapis aaye.

Keh pau garav se-Bhartiya hone par muje Naaz hai.

Priya Arora

http://www.poemhunter.com/poem/ho-raha-hai-kya-mere-bharat-mai/