Hazrat Moulana Tariq Jameel Allah k Nabi ki Zindage Parho bayan 2014

2014-05-27 3

Hazrat Anas (R.A) se rawayat hai keh aap (S.A) jab raat ko bistar par lette the to aap ki maswak, kanghi aur pani aap kay pas rakhe jate the. Aap (S.A) jab bedar hote to maswak farmate aur wazoo kar kay kanghi farmate. Aap ko khushboo be had pasand thi, aap kasrat se khushboo istemaal farmate, aap khushboo na bhi lagate to jism athar se paida hone wali qudrati khushboo se raste mehak jate the, sahabah karam (R.A) pehchan lete keh aap (S.A) is raaste se guzare hain. Taaj dar kainat jab bhi aainah dekhte to apne parwar digar ka shukar baja late, Hazrat Aisha (R.A) farmati hain aap jab shishah dekhte to dua farmate aye allah jis tarah tu ne meri takhleeq ko haseen kia hai aise hi meri khalq ko bhi haseen bana de, sarwar kainaat (S.A) jo angoothi pehnte the aap (S.A) is mnqash angoothi ko apni mehar kay tor bhi istemaal karte the.