Lo Madine ki tajjali se lagaye huwe hain

2013-11-30 3

Lo Madine ki tajjali se lagaye huwe hain
Dil ko hum matlaye anwaar banaye huwe hain

Kashtiyaan apni kinaare pe lagaye huwe hain
Kya woh doobey jo Muhammad ke taraaye huwe hain?

Naam aane se Abu Bakr o Umar ka lab par
Tu Bighardtha hai woh pehloon mein sulaye huwe hain

Hazir o Nazir o Noor o Bashar o Ghaib ko chorh!
Shukr kar woh tere ‘aibon ko chupaye huwe hain

Sharm e issyan se nahi saamnay jaaya jaata
Yeh bhi kya kam hai, tere Shehr mein aaye huwe hain?

Ik jhalak aaj dikha Gumbad e Khazra ke Makeen
Kuch bhi hain, dhoor se deedar ko aaye huwe hain

Sar pe rakhdeejiye zara dast e tassali Aqa
Ghum ke maare hain zamane ke sataye huwe hain

Teri nisbat hi to hai jis ki badaulat hum log
Kufr ke daur mein, Iman bachaaye huwe hain

Kaash deewana banalein woh humein bhi apna
Eik dunya ko jo deewana banaye huwe hain

Bosa e dar se na rouk ab to inhe darbaan
Khud nahi aye yeh mehmaan bulaye huwe hain

Qabr ki neendh se udhna koi aasan na tha
Hum to Mehshar mein Unhe dekhne aaye huwe hain

Kyun na palrha terey aamal ka bharee ho Naseer
Ab to Mizaan pe Sarkaar bhi aaye huwe hain

Kalam : Pir Syed Naseer ud din Naseer (R.A)