Hum sa bhi hoga Jahan mein koi Naadaan Jana
Hum sa bhe hoga jahaan mein koi nadaan jaanan
Berukhi ko bhe jo samjhy tera ehsaan jaanan
Jab bhe karti mery dil ko preshan dunya
Yaad aati hai teri zulf e preshan jaanan
Kabhi aaty huay dekhoon tujhy apny ghar mein
Kaash poora ho mery dil ka ye armaan jaanan
Ik musaafir ko tery shehr mein mot ayee the
Shehr se door naheen gor e gareeban janaan
Kyu tujhy toot ke chahy na khudai sari
Kon hai tery siva Yousuf e doraan janaan
Naghma o sher mery zoq ka hissa to na thy
Teri aankhon ne banaya hai ghazal khuaan jaanan
Kalam ba zuban-e-shair hazrat shaikh syed Naseer ud Din Naseer
ہم سا بھی ہو گا-کلام پیر نصیر الدین نصیر-قوال