ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaa janaa.
yaad kia tujh ko dilayien tera paimaa janaa.
yuun hi mosam ki adaa Dekh ke yaad Aaya hai
kiss qadar jald badal jaate hain insaa janaa.
zindagi teri Atta'a thi so terey naam ki hay.
Ham ne jaise bhi basar ki tera Ihsaan janaa.
Dil ye kehta hay ke shaied ho fasurda tu bi.
dil ki kia baat karein dil tu hay nadaan janaa.
Muddato se yahi Alam na tawaqo na umeed.
dil pukaarey hi chala jaata hay janaa janaa.
ham bi kia sada thay ham ne bi samaj raka tha.
ghame-e-dawran se juda hay gam janaa janaa.
ab ke kuch aisi saji mehfil-e-yaaraan janaa.
sar ba zaano hay koi sar bagareeban janaa.
har koi apni hi awaz sey kaanp utt tha hay.
har koi apney hi Saayie se hiraasaan janaa.
jiss ko dekho wahi zanjeer ba-paa lagta hay.
shehr ka shehr howa daakhil-e-zandaa janaa.
ab tera zikar bhi shaied hi ghazal main aye.
awar se awar hoye dard ke Unwaan janaa.
ham ke roothi hoyi Rutt ko bhi mana lete hain.
ham ne dekha hi nahi tha mosam-e-hijraan janaa.
hosh aaya to sabhi khwaab the raiza raiza.
jaise Urrthey hoye awraaq-e-parishan janaa.
https://www.facebook.com/muhammadhayyat